Har saal ek Taareekh

Zindagi mei ek aur saal kam honeka.. afsos karta hei koi
Usi taareekh pe har saal,
Usi taareekh pe har saal.. Jashn bhi manaata hei koi.

Adhure reh jaate hei kuch khwahishein aksar,
adhoore reh jaate hei kuch khwahishein aksar
Kismat ka khel hei mere dost, karo na kabhi tum fikarr koi.

Kayyi daur honge Zindgi ke safar mein..
Jinhe aapko muskurakar bitaana hei.

Kayyi daur honge Zindgi ke safar mein..
Jinhe aapko muskurakar bitaana hei kyunki
Bure waqt sabak de jaate hei
Aur ache waqt yaad banjaate hei.

Khushiyon mei kiseese,

kabhi kasamein waadein na kiyaa karo
Aakhir mei sirf afsos rehjaati hei
Jaise kiseepe karz ho koi.

Aise bhi log milenge jo sirf zaroorat ke samay yaad karenge
Aise bhi log milenge jo sirf zaroorat ke samay yaad karenge
Maayus na hona kyunki
Dost ki yaad bhi tabhi aati hei
Jab Zindagi ke zakhmon se toota hei koi.

Suno inn lafzon ko nazre uthaakar,
Suno.. inn lafzon ko nazre uthaakar..
Suryoday se pehle shayari likhaa hei koi.

जन्म दिन की हार्दीक शुभकामनाएं।

45 thoughts on “Har saal ek Taareekh

Leave a comment